kisi par tabiat ka aana ghazab hai ghazab hai ghazab dil lagana ghazab hai agar ek din ho to sab kuchh bhugat lun magar roz ka ranj uthana ghazab hai hain majburiyan dil ki khud sau tarah ki ye bekas hai is ko satana ghazab hai shab-e-hijr ka majra kuchh na puchho na chhedo ise ye fasana ghazab hai kahin war khali bhi jata hai us ka ki tir-e-nazar ka nishana ghazab hai na himmat padegi kisi bul-hawas ki tera jaanchna aazmana ghazab hai shab-e-hijr dil ka machalna sitam hai tera wasl mein ruth jaana ghazab hai dimagh un ka dil le ke kya puchhte ho kisi shai ka muft hath aana ghazab hai wo sharmili aankhen wo nichi nigahen wo munh pher kar muskurana ghazab hai sitam-khez yun to har ek saneha hai magar dil ka hathon se jaana ghazab hai 'fahim' ab to bas jaan par aa bani hai sitam hai sitam dil lagana ghazab hai