koi ghul hua tha na shor-e-khizan ujadne lagin khud-ba-khud bastiyan jise dekhne ghar se nikle the hum dhuan ho gaya sham ka wo saman sabhi kuchh to dariya baha le gaya tujhe aur kya chahiye aasman bas ek dhund hai aur kuchh bhi nahin rawana hui thin jidhar kashtiyan abhi tai-shuda koi jada nahin abhi tak bhatakte hain sab karwan yahi ek khabar garm thi shahr mein ki ek shokh bachche ne khinchi kaman tamasha dikha ke gai subh-e-nau khamoshi hai phir se wahi darmiyan taaruf mera koi mushkil nahin main 'ashufta' changezi ibn-e-khizan