kha lete hain ghusse mein talwar katari kya hum log hain saudai auqat hamari kya bijli se lipat kar hum bhasamant hue aakhir us ko tere daman ki samjhe the kanari kya jun shama sar-e-shab se main rone ko baitha hun ta aakhir-e-shab dekhun dikhlae ye zari kya ghabrai jo phirti hai is taur saba har-su aati hai gulistan ko us gul ki sawari kya rona meri aankhon se jab tak ki na sikhega ja baith tu rowega ai abar-e-bahaari kya sote se to uthne do tuk us ko sahar hote dekhoge ki machlegi wo chashm-e-khumari kya nargis ki khajil aankhen itni to na thin gahe us chashm-e-mufattin se bazi koi haari kya auqat mujarrad ki kis tarah basar howe jangal hai ye bikti hai yan nan nahaari kya ai 'mushafi' main us ko ji jaan se go chaha aakhir ko hua hasil juz-zillat-o-khwari kya