mera dil hai mushtaq us gul-badan ka ki ye bagh ek gul hai jis ke chaman ka wahi zulf hai jis ki nikhat se ab tak pada khun sukhe hai mushk-e-khutan ka wahi lal-e-lab hai ki hasrat se jis ke jigar aaj tak khun hai lal-e-yaman ka ajab sair dekhi 'nazir' us chaman ki abhi wasl tha nargis-o-tastaran ka abhi yak-digar jama the sumbul-o-gul abhi tha baham josh sarw-o-saman ka abhi chahchahe bulbulon ke ayan the abhi shor tha qumri-e-nara-zan ka ghadi bhar ke hi baad dekha ye aalam ki nam-o-nishan bhi na wan tha chaman ka