khal-e-mashshata bana kajal ka chashm-e-yar par zagh ko bahr-e-tasadduq rakh sar-e-bimar par mujh ko rahm aata hai dast-e-nazuk-e-dildar par main hi rakh dunga gala ai hamdamo talwar par be-suwaida hath dil mat dal zulf-e-yar par mash pahle padh ke mantar phenk ru-e-yar par gar hifazat rukh ki hai manzur to mitwa na khat baghban rakhta hai kante bagh ki diwar par kaun kahta hai ki sabza aag par ugta nahin khat hai paida yar ke dekho rukh-e-gulnar par dekh mizhgan par meri tughyani-e-sail-e-sarishk nuh ka tufan na dekha howe jis ne khar par jis ko dekha hi nahin us ke watan mein qadr-e-khak bagh se ho kar juda pahunche hai gul dastar par haq agar puchho to ejaz-e-sar-e-mansur tha warna lagna tha tajjub phal ka nakhl-e-dar par