tuta tilism-e-waqt to kya dekhta hun main ab tak usi jagah pe akela khada hun main ye kashmakash alag hai ki kis kashmakash mein hun aata nahin samajh mein bahut sochta hun main main ahl to nahin hun ki dekhe koi magar duniya mujhe bhi dekh tera aaina hun main akasr ghurur-e-fikr jab utra dimagh se main dang rah gaya ki ye kya likh gaya hun main mera kalam wahi nahin hai to phir mujhe ye zoam kyun na ho ki khud apna khuda hun main mujh se nahin use mere farda se hai umid manzil se koi aur faqat rasta hun main kya faeda mujhe jo palat kar jawab dun apne liye kahan hun bura ya bhala hun main ghafil ab aur kya hun kisi se ki umr bhar aawargi ki god mein sota raha hun main kya ye jagah hai jis ki tamanna mein aaj tak din raat shahr shahr bhatakta phira hun main mashal-ba-dast ghumte guzri hai ek umr ab kis ke intizar mein thahra hua hun main