tum hamare nahin to kya gham hai hum tumhaare to hain ye kya kam hai baal bikhre hain aankh pur-nam hai mar gaya kaun kis ka matam hai husn ki shokhiyan zara dekho gah shoala hai gah shabnam hai muskura do zara khuda ke liye sham-e-mahfil mein raushni kam hai chha rahi hain ghataen sawan ki zulf-e-gardun bhi aaj barham hai ban gaya hai ye zindagi ab to tujh se badh kar hamein tera gham hai chaak daman hai kis liye gul ka kis liye ashk-rez shabnam hai mahfil-e-raqs ho ki sher-o-sharab tum nahin ho to bazm-e-matam hai har masarrat alam ka hai partaw jo khushi hai amanat-e-gham hai is mein aansu bhi hain tabassum bhi zindagi ek tazad-e-paiham hai shaikh sahab jarahat-e-dil ka aap ke pas koi marham hai is ko sajde kiye farishton ne aadmi hai ye ibn-e-adam hai