main duniya ki khatir hun dil hone wala mera ahd hai mustaqil hone wala khuda aisa tanha kisi ko na rakkhe koi bhi na ho jab mukhil hone wala pas-e-ab-o-gil main dikha bhi chuka hun tamasha sar-e-ab-o-gil hone wala safine bhare aa rahe hain barabar hai dariya kahin muntaqil hone wala wahi ek hum hain wahi ek tum ho ye aalam nahin moatadil hone wala lahu ke kinare bhi zad par hain donon ye kya zakhm hai mundamil hone wala meri rakh dekho to kya mutmain hai main ek shakhs tha mushtail hone wala