nigah-e-lutf se teri kahin jo hum milte hamari zist ke sham-o-sahar baham milte hamein fareb-e-khirad ne dubo diya warna hamare jam se khud aa ke jam-e-jam milte kisi ke dard pe hansna kisi ke gham mein khushi ye lamhe kash zamane ko kam se kam milte na hote hum to zamane ki aagahi ki qasam na lauh milti na tum ko kahin qalam milte sar-e-niyaz ki azmat ke raaz jab khulte dar-e-butan se nishan-e-dar-e-haram milte tamam-umr ganwa di talash mein lekin khuda na milta na milta kahin sanam milte kalam-e-'asar' ki arzish nahin zamane mein kahin jo hoti to halke se kuchh waram milte