khali sine mein dhadakte hue aawaze se bhar gai umr meri sans ke khamiyaze se muntazir hi na raha baam-e-tamanna pe koi aur hawa aa ke guzarti rahi darwaze se sham-e-sad-rang mere aaina-khane mein thahar main ne taswir banani hai tere ghaze se mujh ko aaya hi nahin jis ka yaqin aaj talak wo khuda kitna bada hai mere andaze se aur kuchh hath na aaya to meri aankhon ne chun liye khwab hi bikhre hue shiraaze se