zist mein rang bhar gai aakhir wo nazar kaam kar gai aakhir jazb-e-wahshat ki karsazi se dil ki qismat sanwar gai aakhir chir kar parda-e-mah-o-anjum aap hi par nazar gai aakhir jo qayamat guzarni thi hum par dil ke hathon guzar gai aakhir hae wo ek nigah-e-duzdida kya kya ilzam dhar gai aakhir jo khalish dil mein thi nihan pahle rag-o-pai mein utar gai aakhir azm-e-taban se bar-sar-e-manzil raushni si bikhar gai aakhir soz-e-dil ke tufail ai 'mansha' shairi bhi nikhar gai aakhir