khayal-e-husn-e-be-misal dastaras mein aa gaya khudi pe ikhtiyar mera pesh-o-pas mein aa gaya yahin kahin pe aakhiri padaw zindagi ka hai tumhaara sog aaj lahja-e-jaras mein aa gaya nazar ko pher kar asir-e-dard kar gae ho tum main ek parind-e-be-nawa kisi qafas mein aa gaya wo raston ke pech-o-kham sanwarta chala gaya idhar bhi hausla sa kuchh nafas nafas mein aa gaya chaman chaman khizan ki rut ka ham-safar bana raha kuchh aisa rang gulistan ke khar-o-khas mein aa gaya wo mumkinat ka safar jo tai kiya gaya nahin guman se nikal gaya hai ab hawas mein aa gaya yaqin se hai baala-tar ki aaj tak dil-e-‘umar’ kisi ke bas ka tha nahin kisi ke bas mein aa gaya