khada tha kab se zamin pith par uthae hue aab aadmi hai qayamat se lau lagae hue ye dasht se umad aaya hai kis ka sail-e-junun ki husn-e-shahr khada hai naqab uthae hue ye bhed tere siwa ai khuda kise malum azab tut pade mujh pe kis ke lae hue ye sail-e-ab na tha zalzala tha pani ka bikhar bikhar gae qarye mere basae hue ajab tazad mein kata hai zindagi ka safar labon pe pyas thi baadal the sar pe chhae hue sahar hui to koi apne ghar mein ruk na saka kisi ko yaad na aae diye jalae hue khuda ki shan ki munkir hain aadamiyyat ke khud apni sukdi hui zat ke satae hue jo aastin chadhaen bhi muskuraen bhi wo log hain mere barson ke aazmae hue ye inqilab to tamir ke mizaj mein hai girae jate hain aiwan bane-banae hue ye aur baat mere bas mein thi na gunj is ki mujhe to muddaten guzrin ye git gae hue meri hi god mein kyun kat ke gir pade hain 'nadim' abhi dua ke liye the jo hath uthae hue