khizan-nasib chaman ki bahaar hai ki nahin qaba-e-ghuncha-o-gul tar-tar hai ki nahin gham-e-hayat gham-e-ishq aur gham-e-dauran kisi ko duniya mein in se farar hai ki nahin rah-e-hayat mein aksar guman ye guzra hai meri wafa ka unhen eatibar hai ki nahin bade tapak se dil ne ye hum se puchha hai koi hamari tarah be-qarar hai ki nahin gham-e-hayat se jis ko farar mil na saka qarar se wahi zer-e-mazar hai ki nahin koi bhi sach ke siwa jhut bolta hi nahin ye saneha hai tumhein eatibar hai ki nahin tazad hi pe ho buniyaad jis hukumat ki har eatibar se na-paedar hai ki nahin tumhaari firqa-parastana zehniyat ki qasam tamam arz-e-watan shoala-bar hai ki nahin ye eqtidar ke bhukon se puchhna hai 'tarab' tumhaare dam se watan zer-e-bar hai ki nahin