khayal-o-khwab mein kab tak ye guftugu hogi uthao jam ki ab baat ru-ba-ru hogi abhi hun pas to wo ajnabi se baithe hain main uth gaya to bahut meri justuju hogi mujhe batao to kuchh kaam aa sakun shayad tumhaare dil mein bhi ek fasl-e-arzu hogi tujhi ko dhundhta phirta tha dar-ba-dar phir bhi mujhe yaqin tha ruswai ku-ba-ku hogi badal gaya bhi agar wo to dekhne mein 'naim' wahi libas wahi shakl hu-ba-hu hogi