ab wo ghar ek virana tha bas virana zinda tha sab aankhen dam tod chuki thin aur main tanha zinda tha sari gali sunsan padi thi baad-e-fana ke pahre mein hijr ke dalan aur aangan mein bas ek saya zinda tha wo jo kabutar us mukhe mein rahte the kis des ude ek ka nam nawazinda tha aur ek ka bazinda tha wo dopahr apni rukhsat ki aisa-waisa dhoka thi apne andar apni lash uthae main jhuta zinda tha thin wo ghar raaten bhi kahani wade aur phir din ginna aana tha jaane wale ko jaane wala zinda tha dastak dene wale bhi the dastak sunne wale bhi tha aabaad mohalla sara har darwaza zinda tha pile patton ko sah-pahr ki wahshat pursa deti thi aangan mein ek aundhe ghade par bas ek kawwa zinda tha