kitna dhunda use jab ek ghazal aur kahi jab mila hi nahin tab ek ghazal aur kahi ek ummid mulaqat mein likkhi sar-e-sham aur phir aakhir-e-shab ek ghazal aur kahi ek ghazal likkhi to gham koi purana jaga phir usi gham ke sabab ek ghazal aur kahi us ghazal mein kisi be-dard ka nam aata tha so pae bazm-e-tarab ek ghazal aur kahi jaante bujhte ek misra-e-tar ki qimat dil-e-bedad-talab ek ghazal aur kahi dil ki dhadkan ko hi pairaya-e-izhaar kiya sil chuke jab mere lab ek ghazal aur kahi dafatan khud se mulaqat ka ehsas hua muddaton baad jo ab ek ghazal aur kahi wahshat-e-hijr bhi tanhai bhi main bhi 'anjum' jab ikatthe hue sab ek ghazal aur kahi