khak kar dalen abhi chahen to mai-khane ko hum ek saghar ko bharo tum ek paimane ko hum mujh se ham-aghosh ho kar yun kaha aur sach kaha hoshiyar is tarah kar dete hain diwane ko hum naza mein aae hain sad afsos jite-ji na aae wo hain aane ko to ab tayyar hain jaane ko hum be-natija un pe marna yaad aata hai hamein shama par jab dekhte hain marte parwane ko hum kohkan aur qais ki qabron se aati hai sada kya mukammal kar gae ulfat ke afsane ko hum ek patta bhi nahin hilta ba-juz hukm-e-khuda kis tarah aabaad kar len apne virane ko hum ek din ye hai ki hain ek shama-ru par khud nisar ek din wo tha bura kahte the parwane ko hum abruon ne sach kaha us ke ishaare ki hai der dekhte bilkul nahin phir apne begane ko hum jaan jae ya rahe us ko sunaenge zarur qais ke parda mein 'parwin' apne afsane ko hum