qalam khamosh hai alfaz ki tasir bole hai hamari safha-e-qirtas par tahrir bole hai khudara ab mujhe aazad kar do qaid-e-paiham se machal kar panw mein lipti hui zanjir bole hai ajab meamar hain jin ki samajh mein ye nahin aata imarat kitni mustahkam hai khud tamir bole hai yahi mahsus hota hai ajanta ki guphaon mein ki har taswir to chup hai fan-e-taswir bole hai haqiqat mit nahin sakti badal dene se tarikhen har ek fan mein hamara husn-e-alam-gir bole hai karishma ye nahin to aur kya hai khun-e-nahaq ka hamari be-gunahi par yahan shamshir bole hai khuda bande se kya puchhe wahan us ki raza 'rahbar' hatheli ki lakiron mein jahan taqdir bole hai