mujh tahi-jaan se tujhe inkar pahle to na tha tera aur mere liye diwar pahle to na tha husn ne saunpi hai ye kaisi nigun-sari mujhe main kisi ka aaina-bardar pahle to na tha is tarah to pa-ba-jaulan hum na phirte the kabhi in gali-kuchon mein ye bazar pahle to na tha ab kahan se aai us kafir ke dil mein raushni aaina halqa-ba-gosh-e-yar pahle to na tha 'tabish' ek daryuza-gar ko baz rakhne ke liye koi darwaza pas-e-diwar pahle to na tha