khak ya kahkashan se uthta hai dard aakhir kahan se uthta hai hai ajab ja-e-amn qarya-e-dil hashr sara jahan se uthta hai dekh ai aah-e-sakinan-e-zamin ek ghubar aasman se uthta hai pahle ye khar-o-khas jalata tha shoala ab gulsitan se uthta hai masala khatir-e-pareshan ka khwahish-e-raegan se uthta hai ek khala hai jo pur nahin hota jab koi darmiyan se uthta hai shahkar-e-sukhan hai misra-e-'mir' kab ye tujh na-tawan se uthta hai