yun chubh raha hai aankh mein manzar zara zara tinka ho jaise zakhm ke andar zara zara mitte hain bebasi ke rawadar is tarah ghiste hain jaise bhurbhure patthar zara zara jine ke waste yahi ehsas hai bahut hum bhi hain dusron ke barabar zara zara ji mein hai aaj aankh ki hasrat nikal lun kab tak ye aasman se takkar zara zara paya qadam qadam pe darindon ko khema-zan dali nazar jo shahr ke andar zara zara basti mein baith jati hai tilon ke rup mein aati hai ret dard ki ud kar zara zara 'abid' ye qurb lamhon ka sadiyon ki duriyan kab tak magar ye lazzat-e-mahshar zara zara