KHaksaron se qarin rahta hai

khaksaron se qarin rahta hai
aasman khak-nashin rahta hai

hai ajab khu-e-faqirana bhi
ek jahan zer-e-nagin rahta hai

wajh duniya bhi hai fitrat bhi hai
koi khush koi hazin rahta hai

bagh-e-gul-gasht-e-saba dil ko bana
nakhl-e-sarsabz yahin rahta hai

ghar ka saman nahin virane mein
shahr mein khauf-e-makin rahta hai

aankhon aankhon mein to kat jati hai raat
dard farkhanda-jabin rahta hai

kaj-ada aisa nahin hai wo bhi
bojh ek dil pe kahin rahta hai

go koi wajh-e-talluq bhi nahin
main kahin dhyan kahin rahta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close