pahle to mitti ka aur pani ka andaza hua phir kahin apni pareshani ka andaza hua ai mohabbat tere dukh se dosti aasan na thi tujh sa ho kar teri virani ka andaza hua umr bhar hum ne fana ke tajrbe khud par kiye umr bhar mein aalam-e-fani ka andaza hua ek zamane tak badan bin khwab bin aadab the phir aachanak apni uryani ka andaza hua tere hathon jal uthe hum tere hathon jal bujhe hote hote aag aur pani ka andaza hua log meri band aankhon mein se guzre tab unhen apni apni khwab-samani ka andaza hawa ek ghera waqt ka hai dusra na-waqt ka khud-nigar kuchh apni nigarani ka andaza hua suraten bigdin to apni haalaton mein aae hum aaina tuta to hairani ka andaza hua raat ek dahliz aisi aa gai thi khwab mein raat kuchh kuchh apni peshani ka andaza hua