mumkin nahin dawa hai is aazar ke liye

mumkin nahin dawa hai is aazar ke liye
behtar hai maut aashiq-e-bimar ke liye

mar kar hua hun khak dar-e-yar ke liye
saya bana hun main teri diwar ke liye

dam-e-bala-e-hasti-e-mauhum mein phansa
behtar yahi saza thi gunahgar ke liye

kyun kar raqib aaen na mahfil mein aap ki
hai khar gul ke waste gul khar ke liye

pa-bosiyon ke shauq mein apna ye lauh-e-dil
ek khal ban gaya qadam-e-yar ke liye

jalwa dikha de khwab mein bahr-e-khuda mujhe
aankhen taras gain tere didar ke liye

bachchon ki tarah hum ne is aaghosh-e-naz mein
pala tha dil ko tujh se dil-azar ke liye

ab shaikh-o-barahman mere daman ke tar ko
aate hain lene subha-o-zunnar ke liye

monis jo ek dil tha wo ghul kar firaq se
aansu bana hai chashm-e-guhar-bar ke liye

us rukh ko dekhte hi dil-e-zar ne kaha
zeba hai ghaza aisa hi rukhsar ke liye

kya haal-e-dil sunaun 'jamila' ki zoaf se
quwwat zaban mein chahiye izhaar ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close