khalish-e-hijr-e-daimi na gai tere rukh se ye be-rukhi na gai puchhte hain ki kya hua dil ko husn walon ki sadgi na gai sar se sauda gaya mohabbat ka dil se par us ki be-kali na gai aur sab ki hikayaten kah din baat apni kabhi kahi na gai hum bhi ghar se 'munir' tab nikle baat apnon ki jab sahi na gai