sar pe tegh-e-be-aman hathon mein pyala zahr ka kis tarah honton pe laun haal apne shahr ka bah rahe hain paniyon mein ghar safinon ki tarah sahilon se is tarah uchhla hai pani nahr ka us badan par ab qaba-e-shaharyari tang hai jis ne chhina hai kafan tak har gharib-e-shahr ka rang aankhon mein ajab qaus-e-quzah ke ghul gae didani hai mauj mein aana lahu ki lahr ka dushmani ki mai to chhalki hai bahut 'mohsin' magar zaiqa kuchh aur hi hai dosti ke zahr ka