rukh pe ahbab ke phir rang-e-musarrat aae phir meri samt koi sang-e-malamat aae teri rahmat ka bharam tut raha hai shayad aaj aankhon mein meri ashk-e-nadamat aae waqt shahid hai ki har daur mein isa ki tarah hum salibon pe liye apni sadaqat aae husn hai un mein tera mere junun ka andaz phul bhi le ke ajab shakl o shabahat aae daur-e-ishrat ne sanware hain ghazal ke gesu fikr ke pahlu magar gham ki badaulat aae