kin ujlaton se apni jawani guzar gai aandhi si ek uthi idhar aai udhar gai duniya ke hadson ne bigade hazar kaam itna hua ki apni tabiat sanwar gai be-wajh ye sukun mayassar nahin mujhe tum aa gae to gardish-e-dauran thahar gai hota hai maslahat ki bina par har inqalab aai sahar jo bazm se sham-e-sahar gai paya jise rafiq-e-amal har gunah mein hairan hun main ki ab wo jawani kidhar gai hun khami-e-mazaq-e-tamanna se sharmsar aaya nazar na kuchh bhi jahan tak nazar gai pabandi-e-quyud-e-mohabbat ke bawajud sau bar tujh ko dhundne meri nazar gai ai gardish-e-mudam sanbhalne bhi de mujhe ab to kisi ki yaad bhi dil se utar gai 'sahir' ye qaul hazrat-e-ghaalib ka hai baja ab aabru-e-shewa-e-ahl-e-nazar gai