main dasht-e-sher mein yun raegan to hota raha isi bahane magar kuchh bayan to hota raha koi talluq-e-khatir to tha kahin na kahin wo khush-guman na sahi bad-guman to hota raha use khabar hi nahin kitne log rakh hue wo apne lahje mein aatish-fishan to hota raha na ehtiyaj ke nale na ehtijaj ki lai bas ek hamhama-e-raigan to hota raha hum aise khak-nashinon ki baat kis ne ki agarche tazkara-e-kahkashan to hota raha subuk-sari ke liye tum ne kya kiya 'rashid' falak se shikwa-e-bar-e-giran to hota raha