phir se badle yahan tahzib ne tewar apne noch kar phenk diye jism se zewar apne us ne shab-khun jo mara to bacha kuchh bhi nahin hum udate hi rahe chhat pe kabutar apne aise zindan mein hain jis mein ki na diwar na dar us ne ye soch ke khud kat liye par apne sar-phira mujh sa koi mere muqabil bhi to ho har kisi par nahin khulne ke hain jauhar apne aasman chhune ki khwahish ne hi bakhshi parwaz warna haalat ne to kat diye par apne kis pari-khana-e-gul-gasht mein pahuncha hun ki ab aaine mein bhi thaharte nahin paikar apne lucknow mein abhi tahzib ke tewar hain wahi is bhikaran ne to badle nahin zewar apne