koi bhi shai ho miyan jaan se pyari kise hai jaan haari hai to ye dekhiye haari kise hai kornish gul ko kare kaliyon ko aadab kahe hosh ye mamlikat-e-baad-e-bahaari kise hai dil bhi bas ek namuna hai ki duniya pe mita nazr zeba thi kise aur guzari kise hai ek khunte se bandhe dasht-o-daman dekhe hain ab mayassar ram-e-ahu-e-tatari kise hai ud chalo muntakhab-e-khas hain us ke hum log warna hasil ye tamanna ki sawari kise hai ek sitare ke liye sar falak karta hun dosto fursat-e-sayyara-shikari kise hai