khamushi hi khamushi mein dastan banta gaya mera har aansu mere gham ki zaban banta gaya aap ka gham jab sharik-e-qalb-o-jaan banta gaya ashk ka har qatra bahr-e-be-karan banta gaya zulm tuta hi kiye qaem rahi shan-e-amal bijliyan girti rahin aur aashiyan banta gaya dhire dhire yaad un ki dil mein ghar karti rahi rafta rafta ishq un ka juzw-e-jaan banta gaya meri hasti bhi tere jalwon mein gum hoti gai tera jalwa bhi farogh-e-la-makan banta gaya rang laya is qadar zauq-e-jabin-e-bandagi har nishan-e-sajda tera aastan banta gaya jab tak ai 'jumbish' rahe wo mail-e-lutf-o-karam har nafas ek zindagi-e-jawidan banta gaya