khanakte sikkon ki arthi jahan se guzri hai

khanakte sikkon ki arthi jahan se guzri hai
gharibi kasa liye phir wahan se guzri hai

hamare dil ki lagi jab guman se guzri hai
kabhi zamin to kabhi aasman se guzri hai

abhi to halqa-e-zanjir panw mein hai mere
abhi sada meri aah-o-fughan se guzri hai

chadha ke aag pe handi mein bhuk bachchon ki
tasalli man ki bade imtihan se guzri hai

lakir khinch di nafrat ki do qabilon mein
kabhi jo tegh-e-hawas darmiyan se guzri hai

saja diye gae kante dilon ke aangan mein
tassubaat ki dewi jahan se guzri hai

unhen milega bhala kaise manzilon ka nishan
ki manzilon ki talab karwan se guzri hai

raha 'shajia' bhi man ki duaon ka muhtaj
hayat jab bhi kisi imtihan se guzri hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close