qadam jab ghar se bahar kanch ke paikar uthate hain to phir hathon mein apne log bhi patthar uthate hain hamari naw jo bach kar nikal aai hai tufan se use gharqab karne ab kinare sar uthate hain main ek majbur hun mazlum hun is shahr mein shayad jabhi to log mujh par ungliyan aksar uthate hain hamari zindagi ka hai yahi dar-asl sarmaya ghamon ka bojh bhi hum roz-o-shab hans kar uthate hain yaqinan rukh badal leti hain phir sarkash hawaen bhi jo hum apne safine ka kabhi langar uthate hain faqat kuchh nuqrai sikkon ki khatir aaj ahl-e-fan qalam kis par uthana tha qalam kis par uthate hain hazimat donon aalam mein faqat un ka muqaddar hai jo bachche samne apne badon ke sar uthate hain nikalte hain jo aansu dosto chashm-e-nadamat se farishte aasman se aa ke ye gauhar uthate hain jo taqlid-e-payambar ko shiar-e-zindagi kar len maza jine ka aise log hi behtar uthate hain