khandar mein dafn hui hain imaraten kya kya likhi hain katba-e-dil par ibaraten kya kiya hisar-e-barf mein rahna kabhi sarabon mein safar ke shauq ne saunpi sifaraten kya kya talash-e-lafz mein umron ki kawishon ka samar andhere ghaar mein ghumin basarten kya kya kahin badan ke hain saude kahin zamiron ke hui hain shahr mein ab ke tijaraten kya kya sawere aankh khuli to nazar mein kuchh bhi na tha khayal-o-khwab mein pain bashaaraten kya kya dayar-e-zar se mata-e-ana bacha lae nazar nazar mein bhari thin hiqaraten kya kya tan-e-shikasta ki tamir ke liye 'rasikh' amal mein lai gai hain mahaaraten kya kya