shauq-e-butan-e-anjuman-ara liye hue

shauq-e-butan-e-anjuman-ara liye hue
phirta hun hashr mein wahi duniya liye hue

aati hai kis dimagh se ek ek nigah-e-husn
dil mein hazar fitna-e-barpa liye hue

yaad aa rahi hai un ki wo tajdid-e-iltifat
pahlu-e-sad-nadamat-e-ifa liye hue

kis ki talash hai ki sar-e-tur is tarah
aae ho mishal-e-rukh-e-zeba liye hue

bebak hain ki jaan ke pahchante nahin
meri nigah-e-rang-e-tamanna liye hue

ab kya ho kaif-e-ishq ki muddat guzar gai
un ke labon se jura-e-sahba liye hue

phir un ko chhedta hun ki arsa bahut hua
dil se kuchh intiqam-e-tamanna liye hue

dekha khiram-e-naz 'suha' ja rahe hain wo
pasti ko su-e-alam-e-baala liye hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close