nazish-e-gul hua kare koi dil se kanta juda kare koi bahte hain baat baat par aansu aisi aankhon ko kya kare koi jab kisi baat mein asar hi nahin kya dawa kya dua kare koi kaun hai wo jo dard-mand nahin kis ki kis ki dawa kare koi jab kaleje mein tir ho paiwast na karahe to kya kare koi zabt ki had hai maut tak lekin phir sitam ho to kya kare koi kuchh nahin jis mein dard-e-dil ka ilaj aisi duniya ka kya kare koi aa chala lutf-e-zindagi hum ko dard ab to siwa kare koi maut hai imtihan-e-shauq 'jigar' warna kyunkar wafa kare koi