khul gaya uqda-e-hasti to kafan mang liya zist ne maut se jine ka chalan mang liya phut kar sina-e-kohsar se bahne ke liye chashma-e-ab ne daman-e-daman mang liya kya tajjub hai agar mang li chehre se naqab daur-e-hazir ne to pairahan-e-tan mang liya ban gaya halqa-e-zulmat jo pada aks-e-zamin chand ne khud to nahin badh ke gahan mang liya jis ki aaghosh mein mazi ki amanat thi nihan us ne manga to wahi qasr-e-kuhan mang liya jalne walon ne bhi shahnaz-e-ghazal se 'kausar' husn-e-fan mang liya rang-e-sukhan mang liya