khat-e-zist mein koi jast hai yahi raqs hai ye jahan sochon mein mast hai yahi raqs hai ye badan gulab hai jabr ka kisi sabr ka mera azm gardish-e-hast hai yahi raqs hai wo jo nok-e-khar pe jam gae kahin tham gae ye jo rakht dil mein alast hai yahi raqs hai ye salamti kahin tut kar kahin phut kar magar ab to fath-e-shikast hai yahi raqs hai kisi jang mein kisi rang mein kisi sang mein ek ajib sa dar-o-bast hai yahi raqs hai badi chashni si hai zahr mein kisi lahr mein ye badan to zakhm-parast hai yahi raqs hai main ruka nahin kisi rah mein na panah mein meri jang dast-ba-dast hai yahi raqs hai main wajud-e-pul ke jamal mein kisi haal mein mera nam chaudah august hai yahi raqs hai