nami aankhon ki bhi mahsus ki tahrir mein shamil ki kajal ki dikhe hai dhaar si tanwir mein shamil mujhe paband kar leti kahan zanjir mein dam tha tumhaari zulf ki ek lat rahi zanjir mein shamil imarat mein jo satwat hai hamare dam-qadam se hai azal se hai gharibon ka lahu tamir mein shamil adu se koi shikwa hai na hi koi shikayat hai raza mahbub ki bhi thi meri tazir mein shamil muqaddar ne banaya hai tamasha be-nawai ka jise khwabon mein rakkha tha nahin ta'bir mein shamil mujhe aasan nahin tha zer kar lena jafaon se kisi lahje ki talkhi thi jafa ke tir mein shamil suna karte the lahje se pata insan ka chalta hai ghurur-e-zar dikhai de gaya tasir mein shamil na-jaane kaun se lamhe nasiba mera phuta tha kabhi tha shahsawaron mein abhi nakhchir mein shamil gada ke sar pe jo hai taj wo hai inkisari ka ye kuchh ashaar hi to hain jo hain jagir mein shamil hamare dil ki dhadkan un ki dhadkan se muzayyan hai hamara gham bhi rahta hai gham-e-kashmir mein shamil shikast aise nahin dete the kafir ko mere aaba koi josh-e-shahadat bhi to tha shamshir mein shamil mubarra kaise kar sakta hun apne aap ko logo yaqinan mere dil ki thi raza taqsir mein shamil 'rashid' irshad ki tamil mein to bhej deta hun jo dil ka haal hai kaise karun taswir mein shamil