khata-e-ishq ye taslim hai ki hum se hui ye jurat hum ko magar aap ke karam se hui jahan-e-ishq mein ahl-e-junun bhi kam to na the hui shanakht is aqlim ki to hum se hui qatil-e-ishq kiya phir gale lagae raha ki ibtida-e-mohabbat bhi ek sitam se hui mujhe to jaanne wale bhi kam hi jaante hain meri shanakht sar-e-mulk fan qalam se hui jo bahr-e-ishq mein gharqab ho gae un ki khabar hui hai to lahron ke zer-o-bam se hui dilon mein ishq ki shamon ki raushni do-chand agar hui hai ayan aap hi ke dam se hui