usi ki ho gai hun rafta rafta usi mein kho gai hun rafta rafta main kisht-e-zist mein faslon ki surat kuchh aansu bo gai hun rafta rafta guzari hain hazaron dukh ki raaten bahadur ho gai hun rafta rafta sitam sah kar rahi khamosh sadiyon wo samjha so gai hun rafta rafta main ho kar be-khata mujrim hi thahri to baghi ho gai hun rafta rafta jafa khu se wafaen karte karte diwani ho gai hun rafta rafta 'ayan' patthar ke sine mein thahar kar main pani ho gai hun rafta rafta