dard-e-dil ke liye kuchh aisi dawa li hum ne tis gar kam bhi hui aur badha li hum ne apne ashkon ko tabassum se chhupaya jaise jism uryan tha to parina qaba li hum ne umr-bhar shahr-e-nigaran mein wafa ko tarse apni na-karda gunahi ki saza li hum ne chikhte lamhon se andar ka na rishta tuta warna bahar ki to khamosh faza li hum ne ek mahshar sa bapa tha kai aawazon ka bolna chaha to mange ki sada li hum ne