khate hain hum hachkole is pagal sansar ke bich jaise koi tuti kashti phans jae manjdhaar ke bich un ke aage ghanton ki arz-e-wafa aur kya paya ek tabassum mubham sa iqrar aur inkar ke bich donon hi andhe hain magar apne apne dhab ke hain hum to farq na kar pae kafir aur din-dar ke bich ishq pe bul-hawasi ka tan ye bhi koi baat hui koi gharaz to hoti hai pyar se har isar ke bich yun to hamara daman bas ek phata kapda hai magar dhundho to paoge yahan sau sau dil har tar ke bich jaise kale kichad mein ek surkh kamal ho jalwa-numa aise dikhai dete ho hum ko to aghyar ke bich ye hai dayar-e-ishq yahan 'kaif' khirad se kaam na le farq nahin kar paega majnun o hoshyar ke bich