khatir-e-haal madarat nahin ki jaegi hum se is taur mohabbat nahin ki jaegi roenge sina-e-aflak ke chaak hone tak is qadar hum se murawwat nahin ki jaegi kis tarah khwab ka imkan-e-ziyan kam hoga aap se kashf-o-karamat nahin ki jaegi sanehe khak ne phir bandhe mere daman se dil se is darja saubat nahin ki jaegi hum riya-kar-e-zamana hain magar zinda hain raushni teri hazimat nahin ki jaegi teri rukhsat ke samay hum ye khade sochte hain haalat-e-hijr to rukhsat nahin ki jaegi is mulaqat pe ek faisla ho jaane do baat ba-tarz-e-riwayat nahin ki jaegi