sambhal ke dekha to kanch sa jism kirchiyon mein bata hua tha khabar nahin hai ki mere andar wo ek dhamaka sa kiya hua tha wo kho gaya tha to yun laga tha ki izzat-e-nafs lut gai hai main roz ke milne wale logon mein ek khilauna bana hua tha khizan ki wo sard raat bhi main ne ghar se bahar guzar di thi ki mere bistar pe lash ban kar mera hi saya pada hua tha sab apni apni sada ke parcham supurd-e-shab kar ke so chuke the bas ek main hi muhib lamhon ke lashkaron mein ghira hua tha jise wo sanson ki loriyon se mere badan mein sula gai thi palat ke aai to wo chahakta sharir bachcha mara hua tha ye ek parchhain si jo sadiyon se mere ham-rah chal rahi hai yahi mera harf-e-ibtida hai main jis se ek din juda hua tha