khatm aakhir ye silsila na hua pesh kab koi hadisa na hua dekhna ru-e-yar ki taswir dil-e-sad-para aaina na hua maut kya hai hayat kya shai hai aaj tak hal ye masala na hua asl aur naql mein hai farq bada kabhi koi sanam khuda na hua shart-e-ulfat barahna-pai hai panw mein kis ke aabla na hua bahr-e-hasti mein umr chand nafas pani mein koi bulbula na hua ja chuki thi nigah manzil tak haif tai wo bhi fasla na hua dost ho ya aziz hi koi na hua koi bhi mera na hua bakhshishen us ki aam hain 'mahir' hum the kamzor hausla na hua