mohabbat bahr-e-atish hai na utra jae hai mujh se magar dariya mein rah kar bhi na tarsa jae hai mujh se tabiat hi kahan mane hai be tum se mile hamdam ye waqt-e-lutf tanha kab guzara jae hai mujh se talluq bhi ajab rishta hai do dil jis se milte hain na joda jae hai us se na toda jae hai mujh se main hilte dekhta hun yun to donon lab kabhi us ke magar aahista aisa kuchh na samjha jae hai mujh se itab us aafat-e-jaan ka sitam us fitna-paikar ka agar hai didani phir kyon na dekha jae hai mujh se zaifi aa gai aisi ki mahir kya kahun tum se agar baitha kabhi to phir na uttha jae hai mujh se