mujhe talash thi jis ki wahi kabhi na mili har ek chiz mili ek zindagi na mili teri talash mein pairon mein pad gae chhaale magar ai manzil-e-maqsud tu kabhi na mili khushi se dosti meri bhi thi magar ek din khafa hui wo kuchh aisi ke phir kabhi na mili wo jis charagh ke dam se makan raushan tha usi charagh ko khud apni raushni na mili tumhaare hijr mein aisa bhi waqt aaya hai badan tatol ke dekha to nabz hi na mili ye jism hai ke faqat shor gul hai sanson ka ye aankh hai ke koi khwab dekhti na mili dil-o-dimagh pe hawi raha gham-e-dauran khushi ke sath bhi rah kar mujhe khushi na mili mujhe na mil saka suraj mere muqaddar ka tera nasib tujhe meri 'chandni' na mili